Pyaasa 1957 - Download Mp3 Song
Pyaasa 1957
Guru Dutt
Sachin Dev Burman
Sahir Ludhianvi
Guru Dutt, Mala Sinha, Waheeda Rehman, Johnny Walker, Rehman
Jinhe Naaz Hai Hind Par Lyrics
Song Title = Jinhe Naaz Hai Hind Par
Movie/album = Pyaasa (1957)
Singers = Mohammed Rafi
Song Lyricists = Sahir Ludhianvi
Music Director = Sachin Dev Burman
Director = Guru Dutt
Mp3 Song Lyrics
((Hmm hmm hmm
Ye kooche ye neelaam ghar dilkashi ke
Ye kooche ye neelaam ghar dilkashi ke
Ye lutate huye caaravan zindagi ke
Kahaan hain, kahan hain, muhafiz khudi ke
Jinhe naaz hai hind par wo kahaan hai
Kahaan hain, kahaan hain, kahaan hain
Ye purpech galiyaan, ye badnaam bazaar
Ye gumnaam raahi, ye sikkon ki jhankaar
Ye ismat ke saude, ye saanson ke taqraar
Jinhe naaz hai hind par wo kahaan hai
Kahaan hain, kahaan hain, kahaan hain
Ye sadiyon se be-khauf sehmi si galiyaan
Ye maslee huyi adh-khilee zard kaliyaan
Ye bikti huyi khokhli rang-raliyaan
Jinhen naaz hai hind par wo kahaan hain
Kahaan hain, kahaan hain, kahaan hain
Wo ujle dareechon mein paayal ki chhan chhan
Thaki haari saanson pe table ki dhandhan
Wo ujle dareechon mein paayal ki chhan chhan
Thaki haari saanson pe table ki dhandhan
Ye berooh kamron me khaansi ki than-than
Jinhe naaz hai hind par wo kahaan hai
Kahaan hain, kahaan hain, kahaan hain
Ye phoolon ke gajre, ye peekon ke chheente
Ye bebaak nazren, ye gustaakh fiqre
Ye dhalke badan aur ye beemar chehre
Jinhen naaz hai hind par wo kahaan hai
Kahaan hain, kahaan hain, kahaan hain
Yahaan peer bhi aa chuke hain jawaan bhi
Tanomand bete bhi, ha ha
Abbaa miyaan bhi
Ye biwi bhi hai
Ye biwi bhi hai aur behan bhi hai maan bhi
Jinhe naaz hai hind par wo kahaan hain
Kahaan hain, kahaan hain, kahaan hain
Madad chaahti hai ye hawwa ki beti
Yashoda ki ham-jins, radha ki beti
Madad chaahti hai ye hawwa ki beti
Yashoda ki ham-jins, radha ki beti
Payambar ki ummat jule khan ki beti
Jinhe naaz hai hind par wo kahaan hain
Kahaan hain, kahaan hain, kahaan hain
Zaraa mulk ke rahbaron ko bulaao
Ye kooche ye galiyaan ye manzhar dikhaao
Jinhe naaz hai hind par unko laao
Jinhe naaz hai hind par wo kahaan hai
Kahaan hain, kahaan hain, kahaan hain..))
Posted by : {Anamika Tyagi}