Jugnu 1947 - Download Mp3 Song
Jugnu 1947
Shaukat Hussain Rizvi
Firoz Nizami
Asghar Sarhadi
Dilip Kumar, Noorjahan, Shashikala
Desh Ki Pur Kaif Lyrics
Song Title = Desh Ki Pur Kaif
Movie/Album = Jugnu (1947)
Singers = Roshanara Begum
Song Lyricists = Asghar Sarhadi
Music Composer = Firoz Nizami
Director = Shaukat Hussain Rizvi
Mp3 Song Lyrics
((Desh ki pur kaif rangeen si
Fizaon main kahi
Desh ki pur kaif rangeen si
Fizaon main kahi
Desh ki pur kaif rangeen si
Fizaon main kahi
Nachati gati mehkati si
Hawaon mein kahi
Nachati gati mehkati si
Hawaon mein kahi
Ek shahezade ko aayi
Ek shahezadi nazar
Ek shahezade ko aayi
Ek shahezadi nazar
Jisko badhte dekh shahezadi
Ne bhi dali nazar
Jisko badhte dekh shahezadi
Ne bhi dali nazar
Naujawaan the dono wo
Naujawaan the dono wo
Aur dhaka dane unki jawa
Goya kamasin devta ke
Khelne ka tha maka
Samana hote hi bas
Ek tir se ghayal huye
Jaise dono ishq ke darbar
Mein sayal huye
Phir mulakate badhi aur
Pyar ne angadaee li
Zindagi bhar sath dene ki
Kasam khayi gayi
Zindagi bhar sath dene ki
Kasam khayi gayi
Ek deen kashti mein baithe
Raaz e dil kehte chale
Ubhari ubhari shok lahero
Par wo yu gate chale
Ke achanak chhaye badal
Jor ka toofan utha
Ghir gayi kashti bhanwar mein
Kap unka dil gaya
Zor maujo mein hawa ka
Shor aisa pur katar
Dono the saheme ke jaise
Maut aati ho nazar
Dono the saheme ke jaise
Maut aati ho nazar
Bemadad majhadhar mein
Wo khauf se jakade huye
Thi jawani ko jawani ess
Tarah pakade huye
Thi jawani ko jawani ess
Tarah pakade huye
Aaya ek zalim thapeda
Kapa shahezade ka hath
Gir gayi pani mein shahezadi
Chhuta dono ka hath
Ha chhuta dono ka hath
Chhaya aankho mein
Andhera uspe bijli si giri
Tuta shahezade ka dil
Ruh bhar huyi ab zindagi
Umar bhar wo sath dene ki
Qasam yaad aa gayi
Kud kar pani mein usne
Bhi wahi par jaan di
Ai adid unka jaha se mit
Gaya naam o nishan
Khatm hoti hai yaha
Par do dilo ki dasta
Khatm hoti hai yaha
Par do dilo ki dasta...))
Posted by : {Anamika Tyagi}