Kohinoor 1960 - Download Mp3 Song
Kohinoor 1960
S U Sunny
Naushad Ali
Shakeel Badayuni
Dilip Kumar, Meena Kumari
Chalenge Teer Jab Dil Par Lyrics
Song Title = Chalenge Ter Jab Dil Par
Movie/Album = Kohinoor (1960)
Singers = Lata Mangeshkar, Mohammed Rafi
Song Lyricists = Shakeel Badayuni
Music Director = Naushad Ali
Director = S U Sunny
Music Label = Saregama
Mp3 Song Lyrics
((ha aa
dil ka afsaana sunaate hain sunaane waale
aa aa
kaash samjhen na mohabbat ko mitaane waale
pyaar ka naam bhi lete huye dar lagta hai
ha ha ha
teer kheenche huye baithe hain zamaane waale
ha ha ha
chalenge teer jab dil par
to armaanon ka kya hoga
chalenge teer jab dil par
to armaanon ka kya hoga
lutega ghar to phir
is ghar ke mehmaanon ka kya hoga
chalenge teer jab dil par
to armaanon ka kya hoga
ha aa aa aa aa
sunaa hai ishq mein aatey hain din
aahon ke naalon ke
abhi tak to salaamat hain garebaan
ishq waalon ke
aaaa aaaa aaaa
agar fasl-e-bahaar aayi
to deewaanon ka kya hoga
agar fasl-e-bahaar aayi
to deewaanon ka kya hoga
chalenge teer jab dil par
to armaanon ka kya hoga
aaa aaaa
uthha hai shor-e-maatam
shama tere jaan nisaaron mein
abhi to dil hi jalte hain
mohabbat ke sharaaron mein
kisi ne par jalaa daaley
to parwaanon ka kya hoga
kisi ne par jalaa daaley
to parwaanon ka kyaa hoga
chalenge teer jab dil par
to armaanon ka kya hoga
aaa aaaa
aaaaa
adhoorey hain adhoore
poorey nahin qisse muhabbat ke
abhi to dil mein posheeda hain
afsaane qayaamat ke
haqeeqat ho gayi zaahir
to afsaanon ka kya hoga
haqeeqat ho gayi zaahir
to afsaanon ka kya hoga
chalenge teer jab dil par
to armaanon ka kya hoga
aaa aaa
sunaa hai jaam-e-ulfat mein bala ka
josh hai saaqi
ee ee ee
abhi to dil hai qaaboo mein
abhi to hosh hai baaqi
ee ee ee eeeee
agar pi kar behek uthhe to
mastaanon ka kya hoga
agar pi kar behek uthhe to
mastaanon ka kya hoga
chalenge teer
aaaa aaaa aaaa
chalenge teer
aaaa aaaa aaaa
to armaanon ka kya hoga
aa aa aaaaaaa
aaa aaaa aaaaa aaaa
aaa aaaa aaaaa aaaa
lutega ghar to phir
is ghar ke mehmaanon ka kya hoga
chalenge teer jab dil par
to armaanon ka kya hoga..))
Posted by : {Anamika Tyagi}