Republic Day - Download Mp3 Song
Republic Day
Republic Day
Naushad Ali
Shakeel Badayuni
Republic Day
Apni Azadi Ko Hum Lyrics
Song Lyrics Title = Apni Azadi Ko Hum
Movie/Album Name = Leader (1964)
Film cast = Dilip Kumar, Vyjayantimala, Jayant, Sapru, Nazir Hussain, Motilal, Jankidas, Leela Mishra, Moolchand, Madhumati, Hiralal, Amar
Singer = Mohammed Rafi
Lyricist = Shakeel Badayuni
Music Director = Naushad Ali
Film Director = Ram Mukherjee
Mp3 Song Lyrics
(( Apni Azaadi Ko Hum Harghiz Mita Sakte Nahin
Sar Qata Sakte Hai Lekin Sar Jhuka Sakte Nahin
Humne Sadiyon Mein Yeh Azaadi Ki Naemat Paayi Hai
Sekron Qurbaaniyaan De Kar Yeh Daulat Paayi Hai
Muskura Kar Khaayi Hai Seenon Pe Apne Goliyaan
Itne Veeranon Se Guzre Hain Tau Jannat Paayi Hai
Khaak Mein Hum Apni Izzat Ko Mila Sakte Nahin
Apni Azaadi Ko Hum Harghiz Mita Sakte Nahin...
Kya Chalegi Zulm Ki Ahl-e-Wafa Ke Saamne
Aa Nahin Sakta Koi Shola Hawa Ke Saamne
Laakh Faujein Leke Aayein Amn Ka Dushman Koi
Ruk Nahin Sakta Humari Ekta Ke Saamne
Hum Woh Patthar Hai Jisse Dushman Hila Sakte Nahin
Apni Azaadi Ko Hum Harghiz Mita Sakte Nahin...
Vande Mataram, Vande Mataram, Vande Mataram
Hum Watan Ke Naujawaan Hai Humse Jo Takrayega
Woh Humari Thokaron Se Khaak Mein Mil Jaayega
Waqt Ke Toofan Mein Beh Jaayengein Zulm-o-Sitam
Aasmaan Par Yeh Tiranga Umr Bhar Lehrayega
Jo Sabak Baapu Ne Sikh Laya Bhula Sakte Nahin
Sar Qata Sakte Hai Lekin Sar Jhuka Sakte Nahin
Apni Azaadi Ko Hum Harghiz Mita Sakte Nahin...
Dushmanon Ke Hum Hai Dushman Yaar Ke Hum Yaar Hai
Amn Mein Phoolon Ki Daali Jung Mein Talwaar Hai
Jis Kisi Mein Hausla Ho Aazma Kar Dekh Le
Zindagi Ke Waaste Marne Ko Hum Tayyaar Hai
Badh Chuke Hai Jo Qadam Peeche Hata Sakte Nahin
Apni Azaadi Ko Hum Harghiz Mita Sakte Nahin...
Yeh Humare Oonche Parbat Yeh Humari Nadiyaan
Yeh Humari Muskurati Leh Lahati Khetiyaan
Inpe Daalega Koi Dushman Agar Nazrein Buri
Hum Tau Uss Zaalim Ki Rakh Dengein Uda Kar Dhajiyaan
Aabroo Apne Watan Ki Hum Gawaan Sakte Nahin
Apni Azaadi Ko Hum Harghiz Mita Sakte Nahin...
Waqt Ki Awaaz Ke Hum Saath Chalte Jaayengein
Har Qadam Par Zindagi Ka Rukh Badalte Jaayengein
Gar Watan Mein Bhi Milega Koi Ghadaar-e-Watan
Apni Taaqat Se Hum Uska Sar Kuchalte Jaayengein
Ek Dhoka Kha Chuke Hain Aur Kha Sakte Nahin
Apni Azaadi Ko Hum Harghiz Mita Sakte Nahin...))
Posted by : {Soni Kumari}