Amar Rahe Ye Pyar 1961 - Download Mp3 Song

Amar Rahe Ye Pyar 1961

Amar Rahe Ye Pyar 1961

Prabhu Dayal
Ramchandra Narhar Chitalkar
Ramchandra Baryanji Dwivedi
Rajendra Kumar, Nalini Jaywant, Nanda

album songs
Aaj Ke Is Insaan Ko
Singer : Prabhu

Aaj Ke Is Insaan Ko Lyrics

Song Lyrics Title = Aaj Ke Is Insaan Ko
Song Lyrics Movie = Amar Rahe Yeh Pyar (1961)
Singer = Pradeep
Song Lyricists = Ramchandra Baryanji Dwivedi
Music Composer = Ramchandra Narhar Chitalkar
Director = Prabhu


Mp3 Song Lyrics

((Aaj ke is insaan ko ye kyaa ho gayaa,
iskaa puraanaa pyaar kahaan par kho gayaa,

Kaisi ye manhoos ghadi hai, bhaaiyon mei jang chidi hai,
Kahin par khoon, kahin par jwaalaa, jaane kyaa hai hone waalaa,
Sab kaa maathaa aaj jhukaa hai, aazaadi kaa juloos rukaa hai,
Chaaron ore dagaa hee dagaa hai, har chhure par khoon lagaa hai,
Aaj dukhi hai jantaa saari, rote hain laakhon nar naari,
Rote hain aangan galiyaare, rote aaj mohalle saare,
Roti Salmaa, roti hai Seeta, rote hain Quraan aur Geeta ,
Aaj Himaalay chillaataa hai, kahaan puraanaa wo naataa hai,
Das diyaa saare desh ko zehreele naagon ne,
ghar ko lagaa dee aag ghar ke chiraagon ne,

Apnaa desh wo desh thhaa bhaai, laakhon baar musibat aayee,
Insaanon ne jaan ganwaayee par bahanon ki laaj bachaayee,
Lekin ab wo baat kahaan hai, ab to kewal ghaat yahaan hai,
Chal rahee hai ultee hawaayen, kaanp rahee thhar thhar ablaayen,
Aaj har ek aanchal ko hai khatraa, aaj har ghunghat ko hai khatraa,
Khatre mei hai laaj bahan kee, khatre mei hai chudiyaan dulhan kee,
Dartee hai har paanw ki paayal, aaj kaheen ho naa jaaye ghaayal,
Aaj salaamat naa koi ghar hai, sab ko lut jaane kaa dar hai,
Humne apne watan ko dekhaa, aadmi ke patan ko dekhaa,
Aaj to bahanon par bhee humlaa hotaa hai,
duur kisi kone mei majhab rotaa hai,
Kiske sar ilzaam dharen hum, aaj kahaan fariyaad karen hum?
Karte hai jo aaj ladaai, sub ke sub hain apne hee bhaai,
Sub ke sub yahaan apraadhi, haay mohabbat sub ne bhulaa dee,
Aaj bahee jo khoon ki dhaaraa, doshi uskaa samaaj hai saaraa,
Suno zara o sunne waalon, aasmaan par nazar ghumaa lo,
Ek gagan mei karoron taare, rahte hain hil mil kar saare,
Kabhi naa wo aapas mei ladte, kabhi naa dekhaa unko jhagadte,
Kabhi nahin wo chhure chalaate, kabhi nahin kisi kaa khoon bahaate,
Lekin is insaan ko dekho, dharti ki santaan ko dekho,
Kitnaa hai ye haay kameenaa, is ne laakhon kaa sukh chheenaa,
Kee hai isne aaj jo tabaahee, denge uskee ye mulk gawaahee,
Aapas kee ye dushmani kaa ye anjaam huaa,
duniyaa hansne lagi desh badnaam huaa,
Kaisaa ye khatre kaa fazal hai, aaj hawaaon mei bhee zahar hai,
Kahin bhee dekho baat yahee hai, haay bhayaanak raat yahee hai,
Maut ke saaye hain ghar ghar mei, kab kya hogaa kise khabar hai,
Bund hain khidki, bund hain dwaare, baithe hain sab darr ke mare,
Kyaa hogaa in bechaaron kaa, kyaa hogaa in laachaaron kaa,
Inkaa sub kuch kho saktaa hai, in par humlaa ho saktaa hai,
Koi rakshak nazar aataa naheen, khoyaa hai aakaash mei daataa,
Ye kyaa haal huaa apne sansaar kaa,
nikal rahaa hai aaj zanaazaa pyaar kaa ..))


Posted by : {Anamika Tyagi}

Aaj Ke Is Insaan Ko Video

Video Description :

Aaj Ke Is Insaan Ko download mp3 song

Recent Tags : Aaj Ke Is Insaan Ko Lyrics | Aaj Ke Is Insaan Ko Video Song | Aaj Ke Is Insaan Ko free play mp3 song | Aaj Ke Is Insaan Ko free download mp3 song | Aaj Ke Is Insaan Ko Full Video Song | Free Aaj Ke Is Insaan Ko movie songs | Aaj Ke Is Insaan Ko free songs | Aaj Ke Is Insaan Ko play online | Aaj Ke Is Insaan Ko free mp3 song download | Aaj Ke Is Insaan Ko online play Song | Aaj Ke Is Insaan Ko Hindi Lyrics | Aaj Ke Is Insaan Ko Lyrics | Aaj Ke Is Insaan Ko online mp3 songs | Aaj Ke Is Insaan Ko full songs | Aaj Ke Is Insaan Ko online music | Aaj Ke Is Insaan Ko free Video | Aaj Ke Is Insaan Ko online Video | Aaj Ke Is Insaan Ko mp3 Download | Free Download Aaj Ke Is Insaan Ko song